Jaani O Jaani Lyrics | Meharbaani

Lyricist : Ravindra Jain
Music Director : A Nairang , Ravindra Jain
Singer : Hemlata
                        
                        Jaani o jaani jaani o jaani
Yeh gazab na karo
Lo main tumse haari haari piya
Lo main tumse haari
Gusaa ab na karo
Jaani o jaani jaani o jaani
Yeh gazab na karo
Jaani o jaani

Logo ne zeher kuchh ghol diya tha
Maine tumhe ulta sidha bol diya tha
Par main wahi hun kabhi jisne tumhe
Pyaar bhara dil anmol diya tha
Tum na jaano in aankho se kitna barsa paani
Jaani o jaani jaani o jaani
Yeh gazab na karo
Dur do dilo ko meri kasam
Dur do dilo ko mere ab na karo
Jaani o jaani

Ruthe rehna pyaar ka usool nahi hai
Main kabhi kaha meri bhool nahi hai
Khilte piya jin bago mein gulaab

Kya bago mein babool nahi
Maafi dedo nadan thi
Main kar baithi nadani
Jaani o jaani o jaani
Jaani o jaani

Nashile nashile mere nain wahi hai
Rasile hotho ke mithe ben wahi hai
Mangi thi jo kabhi apne liye
Gulaabi gulaabi din rain wahi hai
Tum mere chit chor wahi ho
Main wahi roop ki rani
Jaani o jaani jaani o jaani
Yeh gazab na karo
Dur do dilo ko meri kasam
Dur do dilo ko mere ab na karo
Jaani o jaani.