Jitni Likhi Thi Muqaddar Me Lyrics | Nai Roshni

Lyricist : Rajendra Krishan
Music Director : Ravi , Ravi
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        Jitni likhi thi muqaddar me
Hum utni pi chuke
Jitni likhi thi muqaddar me
Hum utni pi chuke
Ab to din marne ke hai
Jitna jina tha ji chuke
Jitni likhi thi muqaddar me
Hum utni pi chuke

Ye jamane ab na aana
Humko samjhane kabhi
Ye jamane ab na aana
Humko samjhane kabhi
Apni kah li sabki sun li
Hoth ab to si chuke
Apni kah li sabki sun li
Hoth ab to si chuke
Ab to din marne ke hai
Jitna jina tha ji chuke
Jitni likhi thi muqaddar me
Hum utni pi chuke

Ab hamari khusk ankho me
Na kuch dhunde koi
Ab hamari khusk ankho me
Na kuch dhunde koi
Ashk jitne in me the
Hum pi chuke hum pi chuke
Ashk jitne in me the
Hum pi chuke hum pi chuke
Ab to din marne ke hai
Jitna jina tha ji chuke
Jitni likhi thi muqaddar me
Hum utni pi chuke

Zindagi or maut dono
Ek hai apne liye
Zindagi or maut dono
Ek hai apne liye
Ab kisi ko kya bataye
Mar chuke ya ji chuke
Ab kisi ko kya bataye
Mar chuke ya ji chuke
Ab to din marne ke hai
Jitna jina tha ji chuke
Jitni likhi thi muqaddar me
Hum utni pi chuke
 
Ghar se beghar ho gaye
Ab ghar ki yad aaye to kyu
Ghar se beghar ho gaye
Ab ghar ki yad aaye to kyu
Zindagi picha na kar
Hum ji chuke hum ji chuke
Zindagi picha na kar
Hum ji chuke hum ji chuke
Ji chuke ji chuke ji chuke ji chuke.