Indian Film History

Teri Aankh Ka Jo Ishara Na Hota Lyrics

From Nai Roshni (1967)

Music
Ravi
Duration
4:37
Teri aankh ka jo ishara na hota To bismil kabhi dil hamara na hota Teri aankh ka jo ishara na hota To bismil kabhi dil hamara na hota Teri aankh ka Agar phul teri hasi na churate To bechare bago ke dil tut jate Agar phul teri hasi na churate To bechare baago ke dil tut jate Chaman ki ye mehfil na aabad hoti Baharo ka aisa nazara na hota Teri aankh ka jo ishara na hota To bismil kabhi dil hamara na hota Teri aankh ka Na hote agar gesuo ke ye saye Kaha jate ham chot dil ki dabaye Na hotey agar gesuo ke yeh saye Kaha jate ham chot dil ki dabaye Mohabbat ka rahi bhatakta hi rehta Teri zulf ka jo sahara na hota Teri aankh ka jo ishara na hota To bismil kabhi dil hamara na hota Teri aankh ka Tera sath hai to safar hai suhana Teri hi badaulat haseen hai zamana Tera saath hai to safar hai suhana Teri hi badaulat hasin hai zamana Agar hath mei tera daman na aata Kahi bhi hamara guzara na hota Teri aankh ka jo ishara na hota To bismil kabhi dil hamara na hota Teri aankh ka.

More songs from Nai Roshni

Teri Aankh Ka Jo Ishara Na Hota Lyrics - Nai Roshni (1967) | Indian Film History