Puchho Koi Sawal Bachcho Puchho Koi Sawal Lyrics | Nartakee

                        
                        puchho koi sawal bachcho puchho koi sawal
mujhse jyada koi na jane is duniya ka hal
bachcho puchho koi sawal bachcho puchho koi sawal
bachcho koi sawal bachcho puchho koi sawal

mai karta hu aapse ek sawal puchho puchho
kon hai jiski koi sune na tarr tarr karta jaye
wo to hai school ka teacher har dum jo chilaye
wo to hai school ka teacher har dum jo chilaye
no sir no sir wrong answer wrong answer
suniye suniye mai deta hu iska jawab
wo to hai barsat ka mendak jiski fudakti chal
wo to hai barsat ka mendak jiski fudakti chal
tumse jyada hum sab jane is duniya ka hal
mujhse jyada koi na jane is duniya ka hal
puchho koi sawal bachcho puchho koi sawal
puchho koi sawal bachcho puchho koi sawal

yes sir yes sir mai karta hu aapse ek sawal
kon hai wo jo kahlata hai hum sab ka rakhwala
kon hai wo jo kahlata hai hum sab ka rakhwala
ya to wo koi gorkha hoga ya koi hoga lala
ya to wo koi gorkha hoga ya koi hoga lala
are ya to wo koi gorkha hoga ya koi hoga lala
kyu thik to hai no sir no sir wrong answar wrong answer
suniye mai batlau kaun hai hum sabka rakhwala
wo to hai bhagwan ke jiski koi nahi misal
tumse jyada hum sab jane is duniya ka hal
mujhse jyada koi na jane is duniya ka hal
pucho koi sawal bachcho puchho koi sawal
pucho koi sawal bachcho puchho koi sawal

yes sir yes sir mai karta hu aapse ek sawal
pucho pucho ganga jamuna kya hai kaha hai
ye to kaho teacher ji ganga jamuna kya hai kaha hai
ye to kaho teacher ji wo to ek rangin film hai
jiski hui hai jugli wo to ek rangin film hai
jiski hui hai jugli are wo to ek rangin film hai
jiski hui hai jugli correct
no sir no sir wrong answer wrong answer
ganga jamuna kya hai ye to bacha bacha jane
wo to do nadiya hai jinse bharat desh nihal
wo to do nadiya hai jinse bharat desh nihal
tumse jyada hum sab jane is duniya ka hal
are mujhse jyada tum jano is duniya ka hal
ab na karo sawal bacho ab na karo sawal
ab na karo sawal bacho ab na karo sawal.