Kahoon Kya Ki Kaun Hun Kya Hun Main Raste Ka Chirag Lyrics | Paheli Tarikh

                        
                        kahu kya ke kon hu kya hu mai
kisi raste ka chirag hu
mujhe jisne chaha jala diya
mujhe jisne chaha bujha diya

garibo ko duniya mita dene wale
khata meri kya hai saja dene wale
ye aanshu nahi mera dil ro raha hai
mere dard ki ab na koi dawa hai
ab na koi dawa hai
tujhe kya khabar hai ke gam kya bala hai
mere gam pe o muskura dene wale
khata meri kya hai saja dene wale
garibo ko duniya

ummido se dhokha kiye jaa raha hun
khushi ko dilashe diye jaa raha hun
diye jaa raha hun
mai kis aashre par jiya jaa raha hun
bata jindagi ki saja dene wale
garibo ko duniya mita dene wale
garibo ko duniya mita dene wale
khata meri kya hai saja dene wale