Na Maaro Nazariya Ke Baan Akeli Aayi Paniya Baran Lyrics | Pehli Jhalak

                        
                        na maro nazariya ke ban na maro nazariya ke ban
akeli aayi paniya bharan akeli aayi paniya bharan
akeli aayi paniya bharan paniya bharan
na maro najariya ke ban re na maro najariya ke ban

jamuna kinare aayi jamuna kinare aayi dur se chalke
ji dur se chalke ched karo na ji or chore gokul ke
o chore gokul ke dekho ji dekho mori gagri chalke
dekho ji dekho mori gagri chalke
hato ji hato mori chunri dhalke
chunri dhalke ji chunri dhalke
dubhida me pad gayi jan ho ho dubhida me pad gayi jan
akeli aayi paniya bharan akeli aayi paniya bharan
akeli aayi paniya bharan paniya bharan
na maro najariya ke ban re na maro najariya ke ban

tum kya jano natkhat kanha tum kya jano natkhat kanha
sas nanad mohe dengi tana tuhi bata mai kari kaun bahana
tuhi bata mai kari kaun bahana chhodo bhi picha ab jana ab jana
aaya bada balwan hoho aaya bada balwan
akeli aayi paniya bharan akeli aayi paniya bharan
akeli aayi paniya bharan paniya bharan
na maro najariya ke ban re na maro najariya ke ban