Zamane Se Nirala Hai Meri Ulfat Ka Afsana Lyrics | Pehli Jhalak

                        zamane se nirala hai meri ulfat ka afsana
meri ulfat ka afsana
bulati hai shama ye kyu nahi aata hai parwana
nahi aata hai parwana

ye kaisa pyar hai kaisi mohabbat kaisi chahat hai

surahi kaisi aati hai surahi kaisi aati hai
ke cha jata hai paymana ke cha jata hai paymana
zamane se nirala hai meri ulfat ka afsana
meri ulfat ka afsana

kisi din wo bhi dekhenge asar darde mohabbat ka

rahenge kab talak wo apne diwane se begana

apne diwane se begana
zamane se nirala hai meri ulfat ka afsana
meri ulfat ka afsana

zara dekho zara samjho ishare dil ki dhadkan ke

ye armano bhare dil hain ye armano bhare dil hain
suhana hai ke diwana suhana hai ke diwana