Mere Angna Mein Ujiyaala Lyrics | Pyar Ki Pyas

                        
                        Mere angna mein ujiyala
Meri godi mein gopala
Mere angna mein ujiyala
Meri godi mein gopala

Kaari kaari kajraari
Pyaari pyaari ankhiyaan
Palken hain neel
Kamal ki do pankhiyaan
Khil khil dantiyan ki jyoti damke
Shyaam ghata mein
Bijuriya jyun chamke
Bijuri chamke
Ye nand jashoda wala
Meri godi mein
Ho meri godi mein gopala
Mere angna mein ujiyala
Meri godi mein gopala

Godi godi khelega
Hamara govinda
Pal pal badhhega
Jyun dooj ka chanda
Ho ho ho ho ho ho ho
Janani ke mangal bhaag jage re
Isko kisi ki nazar na lage re
Nazar na lage ik bindu
Lagaao kaalaa kaalaa
Meri godi mein
Ho meri godi mein gopala
Mere angna mein ujiyala
Meri godi mein gopala

Sajna ke kaaran
Bani thhi suhagan
Lalla ne maan ko
Banaaya badbhaagan
Ankhiyan magan
Manmod bhari hain
Aaj lalla se meri god bhari hai
Meri god bhari
Ye kul ko taarne waala
Meri godi mein
Ho meri godi mein gopala
Mere angna mein ujiyala
Meri godi mein gopala.