Indian Film History

Sulgi Hui Hai Raakh Lyrics

From Revolver Rani (2014)

Duration
3:21
Sulgi hui hai raakh Dil mein dabi Guzri hui aahat Suni hai abhi Pal pal kaleje jo Chubhti hai aawaz si Seene mein atki hai Ek cheekh naraaz si Aye zindagi kuchh to bata Hai yeh sab kya Chadh gaya saleeb pe Tukda tukda khwaab kya Dil dard ke paaton Mein pisne laga Sannaata lamhon Se risne laga Malba hai bikhra hua Har taraf khwaab ka Dariya hamein paar Karna hai tezaab ka Aye zindagi le chal wahaan Dil ka jahaan hai jahaan Kyun bhala zinda rahein Trishna trishna hum yaha Yeh to woh duniya nahi Le kar chal dil ko wahin Chun lenge apni Zameen aasmaan Saazish ke saahil se Takraayein na kashtiyan Khwaahish ke hothon ko Chhu na sake talkhiyan Aye zindagi le chal wahaan Ghum jaaye mehroomiyaan Kyun bhala zinda rahein Trishna trishna hum yaha.

More songs from Revolver Rani