Indian Film History

Badalon Se Lyrics

From Satya (1998)

Lyricist
Gulzar
Duration
5:29
Badalon se kaat kaatke Kagazon pe naam jodna Badalon se kaat kaatke Kagazon pe naam jodna Yeh mujhe kya ho gaya Aare ye mujhe kya ho gaya Doriyon se baandh baandh ke Raat bhar chand todna Yeh mujhe kya ho gaya Ye mujhe kya ho gaya Ek baar tumko jab baraste Paaniyon ke paar dekha thha Yoon laga thha jaise gungunaata Ek abshaar dekha thha Ek baar tumko jab baraste Paaniyon ke paar dekha thha Yoon laga thha jaise gungunaata Ek abshaar dekha thha Tabse meri neend Mein barasti rehti ho Bolti bahut ho aur hasti rehti ho Jo tujhe jaanta na ho us-se Tera naam poochna Yeh mujhe kya ho gaya Ye mujhe kya ho gaya Ye mujhe kya ho gaya Dekho yoon khule badan Dekho yoon khule badan Gulabi sahilon pe aaya na karo Tum namak bhare samundaron Mein yoon is tarah nahaya na karo Sara din chandni si chhaayi rehti hai Aur gulabi dhoop baukhlai rehti hai Jaamno ki naram daal pe Naakhoon se naam khodna Yeh mujhe kya ho gaya Ye mujhe kya ho gaya Badalon se kaat kaatke Kagazon pe naam jodna Yeh mujhe kya ho gaya Aare ye mujhe kya ho gaya Doriyon se baandh baandh ke Raat bhar chand todna Yeh mujhe kya ho gaya.

More songs from Satya

Badalon Se Lyrics - Satya (1998) | Indian Film History