Bolo To Bolo Na Bolo Zara Lyrics | Shabd

                        
                        wo hi purani nayi kahani bachpan se jawani
dekhe the pehle jawani me sapne
dekhoge sapno me ab tum jawani
bolo to bolo na bolo zara, hota hai kya pyar bolo
bolo to bolo na bolo zara, kyun ho beqerar bolo
kabhi kabhi baithe baithe, kyun kisi ki yad a jati hai
ho raha hai ab mujhko jaisa
kuch zara sa tumko bhi waisa, ho raha hai kya
nahi nahi kabhi nahi
aisa waisa kuch nahi hone dena
dekho dekho dil nahi khone dena
chhodo chhodo jane bhi do is bat ko
aise na tum bolo
bolo to bolo na bolo zara, hota hai kya pyar bolo
bolo to bolo na bolo zara, kyun ho beqerar bolo
kisi ki nazar meherban ho rahi hai
lo phir se tamanna jawan ho rahi hai

bas me na ho jo apne, wo hi jawani hai
ya phir woh tere mere, dil ki kahani hai
lagta hai koi apna, yun hi kisi ko
sab se badi to iski, yeh hi nishani hai
dil mera yun ab chahe jisko
pyar sa yun mujhse bhi usko ho raha hai kya
nahi nahi kabhi nahi
aisa waisa kuch nahi hone dena
dekho dekho dil nahi khone dena
chhodo chhodo jane bhi do, is bat ko
aise na tum bolo
bolo to bolo na bolo zara, hota hai kya pyar bolo
bolo to bolo na bolo zara, kyun ho beqerar bolo
yeh rasta zara sa naya hai tamanna
zara dekh lena ki rukna kahan hai
aur chalna kahan hai
kahan ladkhadana sambhalna kahan hai

is raste par ab to, chalte hi jana hai
chahe yeh duniya keh de, mujhko deewana hai
tumse shuru huwi hai, tumpe hi ab khatam
meri kahani mera har ek fasana hai
lag raha hai ab mujhko aisa
kuch tumhe bhi thoda sa waisa, lag raha hai kya
han kaho tamanna
nahi nahi kabhi nahi
aisa waisa kuch nahi hona dena
dekho dekho dil nahi khone dena
chhodo chhodo jane bhi do is bat ko
aise na tum bolo
bolo to chhodo na bolo zara, hota hai kya pyar bolo
bolo to bolo na bolo zara, kyun ho beqerar bolo

kabhi kabhi baithe baithe, kyun kisi ki yad a jati hai
ho raha hai ab mujhko jaisa, kuch zara sa tumko bhi waisa
ho raha hai kya, bolo to bolo na bolo zara
khone aur pane ke beech, pal bhar ka fasla hai
inkar mat karo age bado, tham lo uska hath
warna tumhara inkar, mera intezar ban jayega
main age badna chahta hoon, dekhna chahta hoon pyar ke
is mod ke age kya hai, aage bado