Indian Film History

Aashiqon Ne Husn Ko Lyrics

From Shrimati Ji (1952)

Music
Jimmy
Duration
3:36
Aashiqon ne husn ko Ulat pulat kar diya arre Nikal gayi akad makad Sar ko neecha kar diya Nikal gayi akad makad Sar ko neecha kar diya Dekho dekho duniya waalon Hamne pakdi titliyaan Ishq ke ishaaron pe Naachengi ye kathputliyaan Naachengi ye kathputliyaan Arre aashiqon ne husn Par julam julam kar diya Jo na karna chaahiye thha Wo bhi aaj kar diya Jo na karna chaahiye thha Wo bhi aaj kar diya Aashiqon ko husn ko Ulat pulat kar diya Nikal gayi akad makad Sar ko neecha kar diya Dekho dekho husn ki Ye zehar bhari pyaaliyaan Zehar bhari pyaaliyaan Aashiqon ke dil ko dasen Naaginen ye kaaliyaan Naaginen ye kaaliyaan Jhoomti hain haaye Jhoomti hain been par Bajaao zara taaliyaan Bajaao zara taaliyaan Aashiqon ne husn ko Tang tang kar diya Ishq ki pitaariyon mein Band band kar diya Ishq ki pitaariyon mein Band band kar diya hoy Aashiqon ko husn ko Ulat pulat kar diya Nikal gayi akad makad Sar ko neecha kar diya Dulki dulki chaal mein Aayin dikhaati mastiyaan Dulki dulki chaal mein Aayin dikhaati mastiyaan Aashiqon ke dilon ki Ujaadti hain bastiyaan Ishq ki lagaam se qaaboo Mein hain ye hastiyaan Ishq ki lagaam se qaaboo Mein hain ye hastiyaan Aashiqon ne husn ka haal Bura kar diya haddiyon ko Pasliyon ko choor choor Kar diya haddiyon ko Pasliyon ko choor Choor kar diya hoy Aashiqon ko husn ko Ulat pulat kar diya Nikal gayi akad makad Sar ko neecha kar diya Nikal gayi akad makad Sar ko neecha kar diya.

More songs from Shrimati Ji

Aashiqon Ne Husn Ko Lyrics - Shrimati Ji (1952) | Indian Film History