O Meri Mayi De De Bidaai Lyrics | Shuk Rambha

                        
                        O meri mayi o meri mayi de de bidaai
Main chod tera ghar jaunga
Main to ban ban alakh jagaunga
O meri mayi

O mere pyare
O mere pyare
Ankhiyo ke tare
Mai kaise jiwan bitaungi
Tere bin ro ro mar jaungi
Tere bin ro ro mar jaungi
O mere pyare

Ho jogi ka jog chudao na mata
Putra pita sab jhutha hai nata
Jhutha hai nata
Mohini maya jag bharmaya
Main hari se hi preet lagaunga
Main to ban ban alakh jagaunga
O meri mayi

Van mein chala tu banke gyani
Ma ki haridy ki peed na jani
Peed na jani
Jeth asadh se dhup tape
Teri kumlaye kanchan kaya
Kato ka van kaisa hoga sahan
Waha maa ki nasib na chaya
Mata hai dharti aakash pita
Mere sar par parbhu ji ki chaya
Sab se sama wohi mujhme rama
Meri atma ka gyan samaya
Bhul ja mata mithya hai nata
Na mamta mein man uljhaunga
Main to ban ban alakh jagaunga
Main to ban ban alakh jagaunga
Main to ban ban alakh jagaunga.