Indian Film History

Gareebon Ki Duniyaa Hai Lyrics

From Tadbir (1945)

Duration
3:17
Chaahe Tu Mitaa De Chaahe Tu Bachaa Le Chaahe Tu Mitaa De Chaahe Tu Bachaa Le Gareebon Ki Duniyaa Hai Tere Hawaale Gareebon Ki Duniyaa Hai Tere Hawaale Arre Haan Kabhi Bahti Thhin Yahaan Doodh Ki Nahren Har Dil Mein Uthaa Har Dil Mein Uthaa Karti Thhin Aanand Ki Lahren Ab Dukh Ke Samandar Mein Hain Ham Doobne Waale Hai Tere Hawaale Hai Tere Hawaale Gareebon Ki Duniyaa Hai Tere Hawaale Garibon Ki Kismat Garibon Ki Kismat Kuchh Aisi Hai Soyi Kuchh Aisi Hai Soyi Jahaan Mein Nahin Jahaan Mein Nahin Unkaa Hamdard Koyi Sab Unke Lahoo Ko Samjhte Hain Paani Sab Unke Lahoo Ko Samjhte Hain Paani Ab In Ke Liye Ab In Ke Liye Maut Hai Zindgaani Naa Khaane Ko Roti Haan Naa Khaane Ko Roti Naa Tan Pe Hai Kapdaa Naa Tan Pe Hai Kapdaa Museebat Hai Aur Sahne Ko Jhagdaa Pade Hain Ye Zaalim Zamaane Ke Paale Pade Hain Ye Zaalim Zamaane Ke Paale Gareebon Ki Duniyaa Hai Tere Hawaale Jahaan Ko Banaayen Jahaan Mein Rahen Naa Jahaan Ko Banaayen Jahaan Mein Rahen Naa Museebat Sahen Aur Munh Se Kahen Naa Museebat Sahen Aur Munh Se Kahen Naa Besabr Laashen Hazaaron Padi Hain Besabr Laashen Hazaaron Padi Hain Bataa Aisi Haalat Mein Aansoo Bahen Naa Bataa Aisi Haalat Mein Aansoo Bahen Yoon Bahte Hain Phoote Huye Dil Ke Chhaale Yoon Bahte Hain Phoote Huye Dil Ke Chhaale Gareebon Ki Duniyaa Hai Tere Hawaale Gareebon Ki Duniyaa Hai Tere Hawaale Chaahe Tu Mitaa De Chaahe Tu Bachaa Le Gareebon Ki Duniyaa Hai Tere Hawaale.

More songs from Tadbir