Ye Sar Rahe Na Tan Rahe Lyrics | Watan

                        
                        ye sar rahe na tan rahe ye, sar rahe na tan rahe
magar tera vatan rahe, vatan ke sarfarosh
chal vatan pe sar nisaar kar
ye sar rahe na tan rahe

badhega tu kadam kadam tera vatan teri kasam
ye kah raha hai dam pe dam
vatan ki aan jeet le tu jindagi ko haar kar
tu jindagi ko haar kar
vatan ke sarfarosh
chal vatan pe sar nisaar kar
ye sar rahe na tan rahe

ye hausale ye himmaten, ye balbale ye taakaten
badal ke aaj kismate
khuda se chhin le chaman
gulo ko apne pyaar kar
gulo ko apne pyaar kar
vatan ke sarfarosh
chal vatan pe sar nisaar kar
ye sar rahe na tan rahe

ye gair ko salaam kyun ye jindagi gulaam kyun
ye kaid subah shaam kyun
kuchal de jaalimo ke sar ye bediyaan utaar kar
ye bediyaan utaar kar
vatan ke sarfarosh
chal vatan pe sar nisaar kar
ye sar rahe na tan rahe

sada hai har jawaan ki laga de baaji jaan ki
na aabru nishaan ki, kafan ko sar se baandh kar
tu dushmano pe waar kar
tu dushmano pe waar kar
vatan ke sarfarosh
chal vatan pe sar nisaar kar
ye sar rahe na tan rahe
magar tera vatan rahe, vatan ke sarfarosh
chal vatan pe sar nisaar kar
ye sar rahe na tan rahe