Zindagi Lyrics | Yuvvraaj

Lyricist : Gulzar
Music Director : Subhash Ghai , A R Rahman
Singer : Srinivas
                        
                        zindagi zindagi kya kami reh gayi
aankh ki kor mein, aankh ki kor mein kyun nami reh gayi
zindagi zindagi kya kami reh gayi
aankh ki kor mein kyun nami reh gayi
tu kahan kho gayi, tu kahan kho gayi koi aaya nahi
dopehar ho gayi koi aaya nahi zindagai zindagi

din aaye din jaaye, sadiyan bhi gin aaye, sadiyan re
tanhai lipti hai, lipti hai sanso ki, rasiya re
tere bina badi pyasi hai, tere bina hai pyasi re
naino ki do sakhiyan re, tanha re mein tanha re
zindagi zindagi kya kami reh gayi
aankh ki kor mein, kyun nami reh gayi zindagi zindagi

subah ka kohara hai, shaam ki dhool hai, tanhai hai
raat bhi jard hai, dard hi dard hai, ruswai hai
kaise kaate sanse uljhi hain, raaten badi jhulsi jhulsi hain
naina kori sadiya re, tanha re mein tanha re
zindagi zindagi, kya kami reh gayi
aankh ki kor mein, kyun nami reh gayi
zindagi zindagi kya kami reh gayi
aankh ki kor mein, kyun nami reh gayi
tu kahan kho gayi, koi aaya nahi
dopehar ho gayi, koi aaya nahi
zindagi zindagi kya kami reh gayi
aankh ki kor mein, kyun nami reh gayi.