Mahtaab Tera Chehra Lyrics | Aashiq

                        
                        Mahtaab tera chehra kis
Khwaab mein dekhaa thaa
Ai husn jahaan batlaa tu
Kaun main kaun hun
Khwaabon mein mile
Aqsar ek raah chale milkar
Phir bhi hai yahi behtar
Mat puch main kaun hun
Mahtaab tera chehra

Kyun ghiri ghataa tu hi bata
Kyun hansi fizaa tu hi bata
Phul kyun khilaa tu hi bata
Is raah pe chalnaa hai
Is gaah pe ruknaa hai
Is kaam ko karnaa hai
Batlaa ke main kaun hun
Mahtaab tera chehra
Zindagi ko tu geet banaa
Dil ke saaz pe jhum ke gaa
Is jahaan ko tu pyaar sekhaa

Mahtaab tera chehra kis
Khwaab mein dekhaa thaa
Ai husn jahaan batlaa
Tu kaun main kaun hun
Khwaabon mein mile
Aqsar ek raah chale milkar
Phir bhi hai yahi behtar
Mat puch main kaun hun
Mahtaab tera chehra
Aaa aaa aaa aaa aaa aaa.