Mausam Ka Taqaaza Hai Lyrics | Akarshan

                        
                        Mausam ka taqaaaza hai
Baho se lipat jaye
Sadiyo ki tamnaye
Lamho mein simat jaye
Mausam ka taqaaza hai
Baho se lipat jaye
Sadiyo ki tamnaye
Lamho mein simat jaye
Mausam ka taqaaza hai

Khwabon ka nashi man ho
Ehasas ka aangan ho
Dukh sukh jo mile humko
Aapas mein vo bant jayege
Tu mujhme utar jaye
Main tujhme utar jau
Aise mein yeh dil chahe
Parde se bhi hat jaye
Mausam ka taqaaza hai
Baho se lipat jaye
Sadiyo ki tamnaye
Lamho mein simat jaye
Mausam ka taqaaza hai

Phoolo ki jinhe khawaish
Kanto pe vo chalte hai
Kismat se mili ghadiya
Dar hai na palat jaye
Thahre na ye barsate
Aankho se kahi bate
Khamosh rahe hum tum
Umar yuhi kat jaye
Mausam ka taqaaza hai
Baho se lipat jaye
Sadiyo ki tamnaye
Lamho mein simat jaye
Mausam ka taqaaza hai
Baho se lipat jaye
Sadiyo ki tamnaye
Lamho mein simat jaye
Mausam ka taqaaza hai.