Ek Bat Bata Mere Yara Lyrics | Angaaray

                        
                        ek baat bata mere yaara
mai soch soch ke hara
ye duniya kya duniya hai
ye chakkar kya hai sara

ek baat bata mere yaara
mai soch soch ke hara
ye duniya kya duniya hai
ye chakkar kya hai sara
sach bolne wala jo hai
dar dar ki thokar khaye
jo bole jhuth hamesha
dhan uske dar pe aaye
to aande aande aande aande
aande aande aande aande

ulti hai sari duniya
ulti hai iski baate
hey ulti hai sari duniya
ulti hai iski baate
andhiyare iske din hai
ujiyari iski raate
jo chaal chale yaha sidhi
hey jo chaal chale yaha sidhi

wo kahi paunch na paye
jo ulti chaal chale wo
apni manjil par aaye
to aande aande aande aande
aande aande aande aande

ek baat bata mere yaara
mai soch soch ke hara
aakhir ye kyu hota hai
kyu lagta hai koi pyara
jab dil me koi smaye
bhule na bhula jaye
tu bata karu kya haye
jab yaad kisi ki aaye
to aande aande aande aande
aande aande aande aande

jis gali me rahti hu mai
wahi rahta hai ek ladka
ha jis gali me rahti hu mai
wahi rahta hai ek ladka
jab dekha pyar se maine
wo gusse me hai bhadka
diwana wo hai haye haye
haye haye haye
diwana wo hai haye
koi usko kya samjhaye
kya karu bata do mujhko

mujhe pyar jo us par aaye
to aande aande aande aande
aande aande aande aande

ek baat bata mere yaara
mai soch soch ke hara
kyu dugani khushi hoti hai
jab mile koi dobara
bachpan ka pyar jo aaye
sang jhume nache gaye
to lagta hai ke jaise
bachpan bhi sath me aaye
to aande aande aande aande
aande aande aande aande

yaha jo bhi aaye aande
jo bhi mil jaye aande
aaye jo paisa aande, paisa ho jaisa aande
chahe ho aisa aande, chahe ho waisa aande
paisa hai paisa aande, phir motar gadi aande
bangala aur baadi aande, phir aayega dilbar aande
wo aaye jo ghar par aande
sharmake aaye aande
aake sharmaye aande
us par aaye dil aande
wo dil ka katil aande
tu bin ghabraye aande, jab wo khalaye aande
to aande aande aande aande

aande aande aande aande

jab yaar mile yaro se, bachpan ke ghamkharo se
jab yaar mile yaro se, bachpan ke ghamkharo se
swagat ho dildaro ka, jo baaho ke haaro se
jab koi laut ke aaye, jab koi laut ke aaye
jab yaar koi mil jaye, dil jhumke nache lekin
aankho me aansu aaye, to aande aande aande aande
aande aande aande aande

ek baat bata mere yaara
mai soch soch ke hara
ye duniya kya duniya hai
ye chakkar kya hai sara
sach bolne wala jo hai
dar dar ki thokar khaye
jo bole jhuth hamesha
dhan uske dar pe aaye
to aande aande aande aande
aande aande aande aande
aande aande aande aande
aande aande aande aande