Indian Film History

Mera Nanha Kanhaiyya Lyrics

From Bhabhi Ki Chudiyan (1961)

Duration
3:32
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re Mera jiyaa sahaj harshaaya re Mera jiyaa Mera jiyaa sahaj harshaaya re Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re Mera nanha kanhaiyaa Aaj gagan ne chanda dekha Aaj phool ne hansna seekhaa aaa Aaj gagan ne chanda dekha Aaj phool ne hansna seekhaa Deep se deep jale aasha ke Ghar aangan man bhaaya re Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re Mera nanha kanhaiyaa Muskaata jab shyam salona Hansta ghar ka kona kona Muskaata jab shyam salona Hansta ghar ka kona kona Pulkit tan hai muklit man hai Aanchal mera lahraaya re Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re Mera nanha kanhaiyaa Ghutnon ke bal chale chabeela Aanchal pakde kabhi hatheela Ghutnon ke bal chale chabeela Aanchal pakde kabhi hatheela Laal laal le tujhko paakar Maine sab kuchh paaya re Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re Mera nanha kanhaiyya Tu vasant tu sharad suhaawan Tu phagun hai tu hi saawan Tu vasant tu sharad suhaawan Tu phagun hai tu hi saawan Hari ke vardaanon ki tujhpar Rahe khushi ban chaaya Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re Mera jiyaa sahaj harshaaya re Mera jiyaa Mera jiyaa sahaj harshaaya re Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re Mera nanha kanhaiyya.

More songs from Bhabhi Ki Chudiyan

Mera Nanha Kanhaiyya Lyrics - Bhabhi Ki Chudiyan (1961) | Indian Film History