Indian Film History

Laakhon Taaren Aasmaan Mein Lyrics

From Hariyali Aur Rasta (1962)

Lyricist
Shailendra
Duration
4:20
Laakhon taare aasmaan mein, Ek magar dhoonde naa milaa Dekhke duniyaa ki deewaali, Dil meraa chupchaap jalaa Dil meraa chupchaap jalaa … Laakhon taare aasmaan mein, Ek magar dhoonde naa milaa Ek magar dhoonde naa milaa Qismat kaa hai naam magar hai, Magar kaam hai ye duniyaa waalon kaa Phoonk diyaa hai chaman Hamaare khwaabon aur khayaalon kaa Jee kartaa hai khud hi ghont dein, Apne armaanon kaa galaa Dekhke duniyaa ki deewaali, Dil meraa chupchaap jalaa Dil meraa chupchaap jalaa Sau-sau sadiyon se lambi Ye gham ki raat nahin dhalti Is andhiyaare ke aage ab Ai dil ek nahin chalti Hanste hi lut gayi chaandni, Aur uthte hi chaand dhalaa Dekhke duniyaa ki deewaali, Dil meraa chupchaap jalaa Dil meraa chupchaap jalaa Maut hai behtar is haalat se, Naam hai jiskaa majboori Kaun musaafir tay kar paayaa, Dil se dil ki ye doori Kaanton hi kaanton se guzraa, Jo raahi is raah chalaa Dekhke duniyaa ki deewaali, Dil meraa chupchaap jalaa Dil meraa chupchaap jalaa Laakhon taare aasmaan mein, Ek magar dhoonde naa milaa Dekhke duniyaa ki deewaali, Dil meraa chupchaap jalaa Dil meraa chupchaap jalaa.

More songs from Hariyali Aur Rasta

Laakhon Taaren Aasmaan Mein Lyrics - Hariyali Aur Rasta (1962) | Indian Film History