Indian Film History

Bahaaron Ki Duniya Lyrics

From Laila Majnu (1953)

Duration
4:07
Aa jaa aa aa Aa jaa aa aa aa aa Bahaaron ki duniya pukaare tu aa jaa Bahaaron ki duniya pukaare tu aa jaa Tere muntzir hain sitaare tu aa jaa Bahaaron ki duniya Sadaa khush rahe tu, bhula dene waale Dua de rahe hain, dua dene waale Dua dene waale Meri zindagi ke sahaare tu aa jaa Bahaaron ki duniya Aseer e qafas hoon, zabaan par hain naale Zabaan par hain naale Hamaari mohabbat khuda ke hawaale Khuda ke hawaale Kare door se dil ishaare tu aa jaa Khayaalon ke daaman mein gham aa gaya hai Gham aa gaya hai Chali aa ke aankhon mein damm aa gaya hai Damm aa gaya hai Pareshaan hain tujh bin nazaare tu aa jaa Bahaaron ki duniya Teri yaad sham o sehar jaagti hai sehar jaagti hai Naseeba hai soya, Nazar jaagti hai Nazar jaagti hai Khushi banke dil mein hamaare tu aa jaa Dil e muntzir mein sitaare tu aa jaa Bahaaron ki duniya pukaare tu aa jaa Bahaaron ki duniya.

More songs from Laila Majnu

Bahaaron Ki Duniya Lyrics - Laila Majnu (1953) | Indian Film History