Indian Film History

Maa Hai Lyrics

From Maa Ka Aanchal (1970)

Lyricist
Kaifi Azmi
Duration
3:34
Maa hai mohabbat ka naam Maa hai mohabbat ka naam Maa ko hajaro salam Karde fida jindagi aaye jo bacho ke kam Maa hai mohabbat ka naam Maa ko hajaro salam Haske uthaye gum baithe na har ke ho Bale jamane ko wo apne ko mar ke ho Bhukh mitaye sada Pyas bujhaye sada Pyar lutaye sada Mange na kimat na dam Maa hai mohabbat ka naam Maa ko hajaro salam Uske kadam chhuna duniya ki shan hai ha Hamko mila hai jo bhi mamta ka dan hai ha Bag lagati hai maa Phul khilati hai maa Vipata uthati hai maa Deti hai khusiya tamam Maa hai mohabbat ka naam Maa ko hajaro salam Chahe bhikharan ho khali ho hath bhi Maa to rahegi maa koi ho jat bhi ha Mamta ki chhaw tale deep hajaro jale God mein uske pale sare rishi sab ki maa Maa hai mohabbat ka naam Maa ko hajaro salam Karde fida jindagi aaye jo bacho ke naam Maa hai mohabbat ka naam Maa ko hajaro salam.

More songs from Maa Ka Aanchal

Maa Hai Lyrics - Maa Ka Aanchal (1970) | Indian Film History