Hey Lakshmi Hey Saraswati Hey Gangay Lyrics | Narad Leela

                        
                        hey lakshmi hey saraswati hey gange
o matao din dukhi tere balak tujhe bulaye
teri daya ki bund bina
aisa na ho mar jaye

pyasa hai jag sara pyas bujha de
bunde daya ki maiya ab barsa de
karodo aatmaye tujhko pukare
jal barsa re jal barsa re
pyasa hai jag sara pyas bujha de
bunde daya ki maiya ab barsa de

sunke dukhiyo ki pukar
ganga chali banke jaldhar
sunke dukhiyo ki pukar
ganga chali banke jaldhar
har har karti veg se bahti
karne pawan ye sansar
ganga chali banke jaldhar
sunke dukhiyo ki pukar
ganga chali banke jaldhar
sunke dukhiyo ki pukar
ganga chali banke jaldhar

prabal veg ganga ki dekhkar
mahadev shiv shankar
mahadev shiv shankar mahadev shiv shankar
asur ke tan par khade huye
lene sar pe ganga ki lahar
ganga ki lahar, ganga ki lahar

manav ko navjivan dene ambar se kal kal karti
pawan jal ki dhara bankar chali lakshmi saraswati
teeno maa ki jaldhara se
mitega jab papi danav tab
bojh hatega dharti ka
sukh shanti payega manav
sukh shanti payega manav

badal umda bijli chamki garaj utha aakash
nadiya umdi sagar lahra chhaya chahu ullas
jal ki sukhad tarang ang
phir magan huyi pyasi dharti
aayi swarg se nadi rup dhar
ganga lakshmi saraswati
apne putar ke mahakaary se
maa ka jivan hua dhanay
apne bhakt ki mahima dekhar
pulkit ho uthe narayan
pulkit ho uthe narayan
bhaj man narayan narayan narayan
bhaj man narayan narayan narayan
narayan narayan narayan shri narayan
narayan narayan narayan shri narayan
narayan narayan narayan shri narayan
narayan hari narayan hari narayan