Mashook Apne Shabab Me Lyrics | Nehle Pe Dehla

                        
                        mashuk apne shabab me
karte hai parda hijab me
kaisa zamana aaya dekho
ke dekho aashik khade hai nakab me
ho mashuk apne shabab me
karte hai parda hijab me
kaisa zamana aaya dekho
ke dekho aashik khade hai nakab me

dekho zara sharmile balam ko
dekho zara sharmile balam ko
yu dekhta hai muva ghunghat se humko
ji chahata hai hum is sharam ko
ho ji chahata hai hum is sharam ko
pi le mila kar sharab me
pi le mila kar sharab me
kaisa zamana aaya dekho
ke dekho aashik khade hai nakab me

kya ho gaya inko na jane na jane
haye kya ho gaya inko na jane
tasviro jaise chup hai diwane
humne diye hai kitne hi tane
ha humne diye hai kitne hi tane
kuch to kaho tum jawab me
ji ha kuch to kaho tum jawab me
kaisa zamana aaya dekho
ke dekho aashik khade hai nakab me

ab kam apna ye kar rahe hai
najuk hasino se dar rahe hai
mare sharam ke ye mar rahe hai
socha na tha ye khawab me
socha na tha ye khawab me
kaisa zamana aaya dekho
ke dekho aashik khade hai nakab me
ho mashuk apne shabab me
karte hai parda hijab me
kaisa zamana aaya dekho
ke dekho aashik khade hai nakab me.