Indian Film History

Taqdeer Hansi Aansoo Nikle Lyrics

From Pagle (1950)

Duration
3:33
Taqdeer hansi aansoo nikle Ik thhes lagi dil tut gaya Ab jeena bhi koi jeena hai Jab saath kisi ka chhoot gaya Taqdeer hansi aansoo nikle Bekaar hai dil ki dhadkan mein Bekaar hai dil ki dhadkan mein Aawaaz na do aawaaz na do Tum door huye majboor hain ham Milne ka sahaara chhoot gaya Taqdeer hansi aansoo nikle Duniya se wafa ki aas nahin Duniya se wafa ki aas nahin Aur tum bhi hamaare paas nahin Us dil ki haalat kya hogi Jis dil ka chhaala phhoot gaya Taqdeer hansi aansoo nikle Ab yaad tumhaari aankhon mein Ab yaad tumhaari aankhon mein Aansoo bankar betaab hui Khaamosh meri fariyaaden hain Dil baithh gaya jee chhoot gaya Taqdeer hansi aansoo nikle Wo aag lagaai duniya ne Wo aag lagaai duniya ne Dil apna jal kar khaaq hua Mitti mein mila di ummeeden Kismat ka sitaara tut gaya Taqdeer hansi aansoo nikle Ik thhes lagi dil tut gaya Taqdeer hansi aansoo nikle.

More songs from Pagle

Taqdeer Hansi Aansoo Nikle Lyrics - Pagle (1950) | Indian Film History