Hamane Aaj Se Tumhen Ye Naam De Diyaa Lyrics | Raja Saab

                        
                        hamne aaj se tumhe ye naam de diya
jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-man
hamne aaj se tumhe ye naam de diya
is bahane pyaar ka paigaam de diya
jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-jaa, jaan-e-jaa

paigam ka kuchh jawab do, aise ho kyo chup-chap se
aise ho kyo chup-chaap se
sharma rahe hai aaj ham, kahte huye kuchh aap se
kahte huye kuchh aap se
hamne aankho ko zuba ka kaam de diya
wah is bahane pyaar ka paigaam de diya
jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-jaa, jaan-e-jaa

baato hi baato me aap to, karne lage hamse pyaar bhi
karne lage hamse pyaar bhi
tumne hi luti hai nind bhi, tumne hi luta hai qarar bhi
tumne hi luta hai qarar bhi
aur chupke se hame ilzaam de diya
is bahane pyaar ka paigaam de diya
jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-jaa, jaan-e-jaa

bechain tumne kar diya, is dil ke har aramaan ko
is dil ke har aramaan ko
ye raat ho tum ye kaho, is dil ki har daasta ko
is dil ki har daasta ko
pyaar ne bada hasi anjaam de diya
hu, wah, is bahane pyaar ka paigaam de diya
jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-jaa, jaan-e-jaa
jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-man, jaan-e-man.