Kal Rat Vali Mulakat Ke Liye Maf Kijiye Lyrics | Raja Saab

                        
                        kal rat vali mulakat ke liye har baat ke liye
maaf kijiye maaf kijiye
kal rat vali mulakat ke liye har baat ke liye
maaf kijiye maaf kijiye

aaina na dekhiye meri surat dekhiye
sidhi sadi bholi bhaali meri murat dekhiye
aadmi sharif nahi hun mai kya bhala
qabil e tarif nahi hun mai kya bhala
aap hi ye insaf kijiye aap hi ye insaf kijiye
maf kijiye maf kijiye, maf kijie maf kijiye

meri kya mazal hai jo mai daaman thaam lu
tauba tauba meri tauba aapka mai nam lu
vo parvana vo mastana koi aur tha
mai nahi tha vo divana koi aur tha
man jaaiye dil saf kijiye, maan jaaiye dil saf kijiye
maf kijiye maf kijiye, maaf kijiye maaf kijiye

suniye janab ye meri pahli bhul hai
pahli bhul maaf ho ye duniyaa kaa usul hai
aap jo na hoge aji ham pe meharaban
aapko sitamgar kahega ye jaha
aur kya kahu maaf kijiye
maf kijiye maaf kijiye, maaf kijiye maaf kijiye
kal rat vali mulakat ke liye har bat ke liye
maf kijiye maaf kijiye.