Jogan Ban Jaaungi Sayyaan Tore Kaaran Lyrics | Shabab

Lyricist : Shakeel Badayuni
Music Director : M Sadiq , Naushad
Singer : Lata Mangeshkar
                        
                        jogan ban jaungi saiya tore karan
jogan ban jaungi saiya tore karan
saiya tore karan o balma tore karan
jogan ban jaungi saiya tore karan

jeet liya tore git ne man ko
jeet liya tore git ne man ko
aag lagi more balapan ko, balapan ko
naino me koyi aaye na duja
naino me koyi aaye na duja
aaye na duja aa
karungi nisdin pritam puja
karungi nisdin pritam puja
bhajan tore gaungi ban ke pujaran
saiya tore karan o balma tore karan
jogan ban jaungi saiya tore karan

mai rasiya tore man me rahungi
mai rasiya tore man me rahungi
pyar se apni jholi bharungi
pyar se apni jholi bharungi
jholi bharungi
o manbasiya o albele ho
chhod ke unche mahal dumahale
chhod ke unche mahal dumahale
mai teri gali aaungi banke bhikharan
saiya tore karan o balma tore karan
jogan ban jaungi saiya tore karan