Indian Film History

Guzra Hua Zamana Lyrics

From Shirin Farhad (1956)

Lyricist
Tanvir Naqvi
Duration
3:16
Guzra hua zamana Aata nahin dobara Haafiz khuda tumhara Guzra hua zamana Aata nahin dobara Haafiz khuda tumhara Haafiz khuda tumhara Khushiya thin chaar pal ki Aansoo hain umr bhar ke Tanhaaiyon mein aqsar Royenge yaad kar ke Wo waqt jo ki hamne Wo waqt jo ki hamne Ik saath hai guzara Haafiz khuda tumhara Meri qasam hai mujhko Tum bewafaa na kehna Majboor thi muhabbat Sab kuchh padaa hai sehna Toofaan hai zindagi ka Toofaan hai zindagi kaa Ab aakhiri sahara Haafiz khuda tumhara Haafiz khuda tumhara Mere liye sahar bhi Aayi hai raat ban kar Nikla mera janaazaa Meri baraat ban kar Achchhaa huaa jo tumne Dekha na ye nazara Haafiz khuda tumhara.

More songs from Shirin Farhad

Guzra Hua Zamana Lyrics - Shirin Farhad (1956) | Indian Film History