Main Yahan Hoon Lyrics | Veer-Zaara

Lyricist : Javed Akhtar
Music Director : Yash Chopra , Madan Mohan
Singer : Udit Narayan
                        
                        Jaanam dekh lo
Mit gayi duriyaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha

Jaanam dekh lo
Mit gayi duriyaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha
Jaanam dekh lo
Mit gayi duriyaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha
Kaisi sarhadein
Kaisi majburiyaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha

Tum chhupa na sakogi
Main woh raaz hun
Tum bhula na sakogi
Woh andaaz hun
Gunjta hun jo dil mein
Toh hairaan ho kyun
Main tumhaare hi dil
Ki toh awaaz hun
Sun sako toh suno
Dhadkanon ki zabaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha
Kaisi sarhadein
Kaisi majburiyaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha

Main hi main ab tumhaare
Khayaalon mein hun
Main jawaabon mein hun
Main sawaalon mein hun
Main tumhaare har ek
Khwaab mein hun basa
Main tumhaari nazar
Ke ujaalon mein hun
Dekhti ho mujhe
Dekhti ho jahaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha
Jaanam dekh lo
Mit gayi duriyaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha
Kaisi sarhadein
Kaisi majburiyaan
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha
Main yaha hun yaha
Hun yaha hun yaha.