Indian Film History

Ate Hai Chale Jate Hain Lyrics

From Yaadgaar (1984)

Lyricist
Anjaan
Duration
5:16
Aate hain chale jaate hain Jaane waale kabhi kabhi Yaha apane pyaar se Logo ke dilo mein Yaadgaar ban jaate hain Aate hain chale jaate hain Jaane waale kabhi kabhi Yaha apane pyaar se Logo ke dilo mein Yaadgaar ban jaate hain Aate hain chale Jaate hain aate hain Rona naa udaas hona naa Yeh aansu khona naa Yaha naa daaman bhigona kabhi Paana hai kabhi kuchh paana hai Kabhi kuchh khona hai Yahn jo hona hai hoga wohi Yahi jindagi hai Yaha jiye wohi log jo Saare gham bhulaake Aansuo mein muskuraate hain Aate hain chale jaate hain aate hain Chalna hain hame toh chalna hain Akele chalna hain Koyi bhi ho yaa naa ho humsfar Raaho mein chale yaa ham ruke Ruke yaa ham chale Kahi bhi rukata nahi yeh safar Aana jaana lage rahe, Jivan ki raaho mein Raahe wohi rehate hain, Raahi badal jaate hain Aate hain chale jaate hain aate hain Raato ke andhere raato ke Ghanere chhaye mein Chhupa toh hoga sawera kahi Aayega savera aayega ujale layega, Andhera hoga hamesha nahi Maane yaha har naa jo Kabhi kisi hal mein Wohi yaha phool kabhi Kaanto mein khilate hain Aate hain chale jaate hain, Jaane waale kabhi kabhi Yaha apane pyaar se Logo ke dilo mein Yaadgaar ban jaate hain.

More songs from Yaadgaar

Ate Hai Chale Jate Hain Lyrics - Yaadgaar (1984) | Indian Film History