Indian Film History

Ja Ja Re Ja Deewane Ja Lyrics

From Grahasti (1963)

Music
Ravi
Duration
5:21
Ja ja re ja deewane ja Ja ja re ja deewane ja Maine jo chaaha tujh ko Apna banaaya tujh ko Is pe akadta hai kya Ja ja ri ja deewani ja Ja ja ri ja deewani ja Maine ehsaan kiya Dil jo qurbaan kiya Badh badh ke baaten na bana Ja ja re ja deewane ja Ja ja re ja deewane ja Bura hai mera ghussa Jawaani ki qasam Main shola ban ke Tujh ko jala doongi balam Hai bheja mera thanda Nahin hai mujhe gham Main paani ban ke Tujh ko bujha doon ga sanam Itna ghuroor na kar Mujh ko majboor na kar Warna chakha doon gi maza Ja ja ri ja deewani ja Ja ja re ja deewane ja Jaa jaa re jaa deewaane jaa Main ban ke machhariya c Hhupoon gi jal mein Na aayun gi bedardi Main tere bal mein Laga ke main bhi Dori mein kaanta dil ka Phansa hi loon ga Tujh ko bas ik pal mein Na kar takraar mujh se Dekhe hain laakhon tujh se Apni tu shaikhi na jata Ja ja ri ja deewani ja Ja ja re ja deewane ja Bade hi zehreele yeh Naina hain mere Main naagan ban ke Das loongi chhed na mujhe Bade hi zehreele Yeh naina hain mere Main naagan ban ke Das loongi chhed na mujhe Banegi jo tu naagan to Main bhi meri jaan Sapera ban ke Kar loonga bas mein tujhe O dil ke chor saiyan Yun na marod baiyan Dil le ke aise na sata Ja ja ri ja deewani ja Ja ja ri ja deewani ja Maine ehsaan kiya Dil jo qurbaan kiya Badh badh ke baatein na bana.

More songs from Grahasti

Ja Ja Re Ja Deewane Ja Lyrics - Grahasti (1963) | Indian Film History