Indian Film History

Bedard Zamana Tera Dushman Lyrics

From Mehndi (1958)

Music
Ravi
Lyricist
S H bihari
Duration
4:53
Musibat kaa kiye jaa saamna Kaanto pe chalta jaa Agar mazil pe jana hai To gir gir ke sambhalta jaa Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Maalik hai vahi sab se Bada palane wala Maalik hai vahi sab se Bada palane wala Chunti ko bhi detaa hai Jo khaane ko nivaalaa Bando pe hameshaa hi Karam us ka rahaa hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Hazaaro caravan lute gaye Manzil ki raaho me Jo gam kaa saamna karta Gayaa manzil pe vo pahunchaa Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Ye kaisi khudai hai Bolo kaisaa khuda hai Lutati hui duniya jo Meri dekh rahaa hai Mai kaise bhalaa maanun Ke duniya me khuda hai Agar hai to kahaan hai Izzat bhi bachi jaan Bachi kaise ye bolo Vo kaun si taaqat thi Zaraa dil ko tatolo Hai jis ka karam ham pe Usi se ye gilaa hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Kuchh kam nahi apane Liye jine ke sahaare Kuchh kam nahi apane Liye jine ke sahaare Imaan ki daulat hai Abhi paas hamaare Ye aisaa sahaaraa hai Jo har shah se bada hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khhudaa hai Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Bedard zamana tera Dushman hai to kya hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai Duniya me nahi jis ka Koi us ka khuda hai.

More songs from Mehndi

Bedard Zamana Tera Dushman Lyrics - Mehndi (1958) | Indian Film History