Indian Film History

Hamko Bhi De Lyrics

From Zabak (1961)

Lyricist
Prem Dhawan
Duration
3:53
Muraaden ghareebon ki parlaane waale Museebat me sabke hi kaam aane waale Fakeeron ke daata yateemon ke maula Ho apne paraaye ka gham khane waale Hamko bhi de de sahaara Do jahaan ke badshah Aasraa hai ik tumhaara Do jahaan ke badshah Hamko bhi de de sahaara Ham sabhi mohtaaz hain Tu hai sakhi tu hi kareem Ham sabhi mohtaaz hain Tu hai sakhi tu hi kareem Dardmandon ke liye Hai tu hi to hai kaamil hakeem Dard jaane tu hamaara Do jahaan ke badshah Hamko bhi de de sahaara Kaun si mushqil hai jisko Toone aasaan na kiyaa Kaun si mushqil hai jisko Toone aasaan na kiyaa Tere dar pe jo bhi aaya Uska daman bhar diya Tu samandar tu kinaara Do jahaan ke badshah Hamko bhi de de sahaara Do jahaan ke badshah Do jahaan ke badshah Do jahaan ke badshah

More songs from Zabak

Hamko Bhi De Lyrics - Zabak (1961) | Indian Film History