Shama Jali Armano Ki Lyrics | Zabak

Lyricist : Prem Dhawan
Music Director : Homi Wadia , Chitragupt
Singer : Lata Mangeshkar
                        
                        Shama jali armano ki jan gayi parwano ki
Tune na jani itni kahani hm diwano ki
Shama jali armano ki jan gayi parwano ki
Tune na jani itni kahani hm diwano ki
Ho shama jali armano ki

Rang bhari rate ho teri din ho mastane
Tere liye mangi dua tere parwane
Barse khusiya asmano ki
Shama jali armano ki jan gayi parwano ki
Tune na jani itni kahani hm diwano ki
Ho shama jali armano ki

Dil ki lagi sara sara din hamko tadpaye
Tere liye paya hai ye gum tu hi thukraye
Teri najar me ye kadar hai ham begano ki
Ho shama jali armano ki

Jalte hai ham sholo ki tarah ahe bharte hai
Jisne kiye dekho ye sitam uspe marte hai
Ye kya ada hai ap jaise meharbano ki
Shama jali armano ki jan gayi parwano ki
Tune na jani itni kahani hm diwano ki
Ho shama jali armano ki.