Indian Film History

Mujhe Mubaarak Lyrics

From Zabak (1961)

Lyricist
Prem Dhawan
Duration
4:17
Mujhe mubaarak puraani yaaden, Tujhe mubaarak naya fasaana Jo ho sake to na yaad karna, Jo yaad aaun to bhool jaana Mehlon ne chheen liya Bachpan ka pyaar mera ho Bachpan ka pyaar mera Mujh ko ilzaam na do, Kar lo aitbaar mera ho Kar lo aitbaar mera Tum ho falaq par, Main hoon zameen pe Tum ko khabar kya hamaari Tum ho falaq par, Main hoon zameen pe Tum ko khabar kya hamaari Maano na maano, Mehlon mein reh ke Main aaj bhi hoon tumhaari Mujh ko ilzaam na do, Kar lo aitbaar mera ho Kar lo aitbaar mera Le chal hamen bhi, Tuh saath apne Kehti hain dil ki sadaayen Le chal hamen bhi, Tuh saath apne Kehti hain dil ki sadaayen Mujh se juda hai manzil tumhaari Tum se juda meri raahen Mehlon ne chheen liya Bachpan ka pyaar mera ho Bachpan ka pyaar mera Uljhoonga na main daaman se tere Raahon ka ek khaar ban ke Uljhoonga na main daaman se tere Raahon ka ek khaar ban ke Jaise rahe ho waise rahoge Dil mein mere pyaar ban ke Mujh ko ilzaam na do, Kar lo aitbaar mera ho Kar lo aitbaar mera Mehalon ne chheen liya Bachpan ka pyaar mera ho Bachpan ka pyaar mera.

More songs from Zabak

Mujhe Mubaarak Lyrics - Zabak (1961) | Indian Film History