Tere Is Pyar Ka Shukriya Mere Mehrbaa Mere Mehrbaa Lyrics | Aag Aur Daag

Lyricist : S H bihari
Music Director : Swaran Singh , N Dutta
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        Aaj in haathon mein phir se
Zindagi hai saaz hai
Kyaa kahu ae husn tujh par
Kitna mujh ko naaz hai
Tere is pyar ka shukriya mere meharbaa
Tere is pyar ka shukriya mere meharbaa
Mere meharbaa aa mere meharbaa

Socha na tha kabhi
Itni haseen bhi, hoti hai zindagi
Ae jaan-e-jaan, socha na thha kabhi
Itni haseen bhi, hoti hai zindagi
Ae jaan-e-jaan aa
Tere is pyar ka shukriya, mere meharbaa
Tere is pyar ka shukriya, mere meharbaan
Mere meharba, mere meharba

Maana ke zindagi, kaanton me hai pali
Phoolo se hai bhari, meri daastaa
Maana ke zindagi, kaanto mein hai pali
Phoolon se hai bhari, meri daastaan
Aa tere is pyar ka shukriya, mere meharbaa
Tere is pyar ka shukriyaa, mere meharbaa
Mere meharbaan, aa mere meharbaa

Tu hai to raat kya, darne ki baat kya
Taaron se hai bhara, mera aasmaan
Tu hai to raat kya, darne ki baat kya
Taaron se hai bhara, mera aasmaan
Tere is pyar ka shukriya, mere meharbaa
Tere is pyar ka shukriya, mere meharbaa
Mere meharbaa, aa mere meharbaa.