Rutha Huwa Chanda Hai, Ruthi Huyi Chandani Lyrics | Aaram

                        
                        rutha huwa chanda hai, ruthi huyi chandani
rutha huwa chanda hai, ruthi huyi chandani
tum hi kaho kaun manaye ji
rutha huwa kanha hai, ruthi huyi bansuri 
rutha huwa kanha hai, ruthi huyi bansuri 
kaise koi geet sunaye ji
rutha huwa chanda hai, ruthi huyi chandani 
rutha huwa chanda hai, ruthi huyi chandani 

preet ka sauda preet se kijiye, preet ka sauda preet se kijiye 
jaisa dil liya hai waisa dil dijiye, ji waisa dil dijiye
dil toh kuchh aur kahe, naina kuchh aur hi
kaise koyi preet nibhaye ji, kaise koyi preet nibhaye ji 
rutha huwa chanda hai, ruthi huyi chandani 
rutha huwa chanda hai, ruthi huyi chandani 

dekho ji hat gayi kari badariya, dekho ji hat gayi kari badariya
chamaka hai chand phir baji bansuriya, ji baji bansuriya
dil se hai mann gaye, jid hai magar pyar ki
pahale kise kaun bulaye ji, pahale kise kaun bulaye ji 
pahale kise kaun bulaye ji