Insaf Kar O Aasma Lyrics | Aladdin And The Wonderful Lamp

Lyricist :
Music Director : Homi Wadia , S N Tripathi
Singer : Shamshad Begum
                        
                        insaf kar o aasma o aasma
insaf kar o aasma o aasma
ek taraf tanha mohabbat 
ek taraf tanha mohabbat 
ek taraf sara jahan, o aasma
insaf kar o aasma o aasma

aasre barbad kar daale hai 
tune sangdil o sangdil
aasre barbad kar daale hai 
tune sangdil o sangdil
kon hai kisko sunaye
kon hai kisko sunaye
apne gham ki dastan o aasman
insaf kar o aasma o aasma

sari duniya me ham hi bas 
tujhko aaye the najar o kam najar
sari duniya me hamhi bas 
tujhko aaye the najar o kam najar
kisliye tune mitaya
kisliye tune mitaya
pyar ka namonishan o aasma
insaf kar o aasma o aasma