Javaan Hai Mohabbat Hasin Hai Zamaanaa Lyrics | Anmol Ghadi

Lyricist : Tanvir Naqvi
Music Director : Naushad , Naushad
Singer : Noor Jehan , Naushad
                        
                        javaan hai mohabbat, hasi hai zamana
lutaya hai dil ne, khushi ka khazana
javaan hai mohabbat, hasi hai zamana
lutaya hai dil ne, khushi ka khazana

mohabbat kare khush rahe muskuraye, khush rahe muskuraye 
mohabbat kare khush rahe muskuraye, khush rahe muskuraye 
na soche hame kya kahega zamana, kya kahega zamana
javaan hai mohabbat, hasi hai zamana
lutaya hai dil ne, khushi ka khazana

abhi tak mujhe yaad hai vo kahani, yaad hai vo kahani 
abhi tak mujhe yaad hai vo kahani, yaad hai vo kahani 
na bhulega bachpan ka rangi zamana, ha rangi zamana 
javaan hai mohabbat, hasi hai zamana
lutaya hai dil ne, khushi ka khazana

kya aankho aankho me baate hui hai
kya aankho aankho me baate hui hai
kisine na dekha kisine na jaana, ha kisine na jaana 
javaan hai mohabbat, hasi hai zamana
lutaya hai dil ne, khushi ka khazana

tum aaye ke bachpan mera laut aaya, laut aaya
tum aaye ke bachpan mera laut aaya, laut aaya
mila hai mujhe zindagi ka bahana, zindagi ka bahana 
javaan hai mohabbat, hasi hai zamana
lutaya hai dil ne, khushi ka khazana