Aap Ka Shukriya Aap Ki Meherbani Lyrics | Anokhi Pehchan

                        
                        aap ka sukriya aap ki meharbani
aap ki meharbani
aap aaye na aate to dil tut jate
aap aaye na aate to dil tut jate
ruth jati ye sham suhani
aap ka sukriya aap ki meharbani

aap jis rah chal fir rahe hai
phul us rah par gir rahe hai
aap jis rah chal fir rahe hai
phul us rah par gir rahe hai
kya suhana shama hai ye mausam jawa hai
aaj har chiz se hai jawani
aap ka sukriya aap ki meharbani

aap bin char pal bhi hamara
ab nahi hai jaha me gujara
aap bin char pal bhi hamara
ab nahi hai jaha me gujara
aap ki yad aaye to dil bahal jaye
dijiye aisi koi nishani
aap ka sukriya aap ki meharbani

pyar hamne hamesha kiya hai
har janam me tumhe dil diya hai
pyar hamne hamesha kiya hai
har janam me tumhe dil diya hai
yad rakhna ye bate nayi hai mulakate
ye mohabbat magar hai purani
aap ka sukriya aap ki meharbani
aap aaye na aate to dil tut jate
ruth jati ye sham suhani
aap ka sukriya aap ki meharbani