Janam Din Aaya Lyrics | Baharon Ki Manzil

                        
                        Janam din aaya aaya
Mamta ki jyot jagi
Janam din aaya aaya
Mamta ki jyot jagi
Ke hansti rahe sada
Yuhi meri chanda
Taro ki shehjadi

Rango bhara gudiya
Ko joda pehnake
Rango bhara gudiya
Ko joda pehnake
Arman ki kaliyo se
Angana sazake
Matwali mamta ne
Apne dil ki shama jala di
Janam din aaya aaya
Mamta ki jyot jagi
Ke hansti rahe sada
Yuhi meri chanda
Taro ki shehjadi

Taro ka lekar tohfa
Chanda bhi aaya
Taro ka lekar tohfa
Chanda bhi aaya
Rani ke layak humne
Kuch bhi na paya
Phir nanhi umar pe
Wari hokar apni umar mila di
Janam din aaya aaya
Mamta ki jyot jagi.