Badanasibi Ka Gila Ai Dil E Nashad Na Kar Lyrics | Bewafa

                        
                        badnasibi ka gila
badnasibi ka gila ai dil-e-nashad na kar hay fariyad na kar
badnasibi ka gila
badnasibi ka gila ai dil-e-nashad na kar hay fariyad na kar

har ghadi aish ka saamaan kaha rehta hai
har ghadi aish ka saamaan kaha rehta hai
zindagi bhar koi mehmaan kaha rehta hai
gam badi chiz hai
gam badi chiz hai is chiz ko barbad na kar hay fariyad na kar
badnasibi ka gila ai dil-e-nashad na kar hay fariyad na kar

rone vaale tere rone pe hansi aati hai
rone vaale tere rone pe hansi aati hai
jo ghadi bit gayi vo bhi kabhi aati hai
jab vo zinna nahi 
jab vo zinna nahi tab se to unhe yaad na kar hay fariyad na kar
badnasibi ka gila ai dil-e-nashad na kar hay fariyad na kar

ye tera ashq bahana kabhi aur aahe bharna, aahe bharna
pyaar ki rit nahi pyaar ko rusva karna, rusva karna
ghut ke mar ja 
ghut ke mar ja magar ai dil kabhi fariyad na kar
hay fariyad na kar
badnasibi ka gila ai dil-e-nashad na kar hay fariyad na kar