Kho Gaye Sajna Lyrics | Bhai Aakhir Bhai Hota Hai

Lyricist : Hasan Kamal
Music Director : Sunita Kavita , Chand Pardesi
Singer :
                        
                        kho gaye saajna tum na jane kahan
kho gaye saajna tum na jane kahan
aaj bhi main wahi hu khadi
chhodkar tum gaye the jaha
kho gaye saajna tum na jane kahan

suni suni dil ki raahe
kab se hai baahe failaye
jin aankho me pyar basa tha
ab hai unme gham ke saye
jeena marna bhul gaye hum
lekin tumko bhul na paye
raat din sath hai teri parchhaiya
kho gaye saajna tum na jane kahan
main kisko samjhau aakhir
dil diwana nain diwane
ab tak mere pass hai tu hi
dil kahta hai nain na mane
dukh birha ka gham duri ka
dukh birha ka gham duri ka
jis par beete wo hi jane
das rahi hai mujhe meri tanhaiya
aaj bhi main wahi hu khadi
chhodkar tum gaye the jaha
kho gaye saajna tum na jane kahan
tum na jane kahan