Bahak Chale Mere Nainawaa Lyrics | Chandni Chowk

Lyricist : Shailendra
Music Director : B R Chopra , Roshan
Singer : Lata Mangeshkar
                        
                        bahak chale mere nainwa
haye na jane kaisi chali hawa
kyun na lagi kal raat ko palak
mujhe ye kya ho gaya
haye mujhe ye kya ho gaya
bahak chale mere nainwa
haye na jane kaisi chali hawa
kyun na lagi kal raat ko palak
mujhe ye kya ho gaya
haye mujhe ye kya ho gaya

anchal se mera hath hate na
nain rahe mere jhuke-jhuke
anchal se mera hath hate na
nain rahe mere jhuke-jhuke
khadi rahu darpan ke aage
uljhi lat na sulajh sake
haye uljhi lat na sulajh sake
mujhi ko mere haal pe
sharmana koi sikhla gaya
kyun na lagi kal raat ko palak
mujhe ye kya ho gaya
haye mujhe ye kya ho gaya

khamoshiyo me dil ki koi geet ga raha hai
khamoshiyo me dil ki koi geet ga raha hai
ankho me muskara ke
hasna sikha raha hai hasna sikha raha hai
mai hu kahi mera dil kahi
koi kaisa ye jadu chala gaya
kyun na lagi kal raat ko palak
mujhe ye kya ho gaya
haye mujhe ye kya ho gaya

man me runak-jhunak ye kaisi
nach rahe kyun panv mere
man me runak-jhunak ye kaisi
nach rahe kyun panv mere
ye tufan ye halachal kaisi
bin mausam ki ghata ghire
haye bin mausam ki ghata ghire
ghadi-ghadi machle jiya
jaise phir se ladakpan aa gaya
kyun na lagi kal raat ko palak
mujhe ye kya ho gaya
haye mujhe ye kya ho gaya

bahak chale mere nainwa
haye na jane kaisi chali hawa
kyun na lagi kal raat ko palak
mujhe ye kya ho gaya
haye mujhe ye kya ho gaya