Chal Chalein Lyrics | Dhanak

                        
                        anjaan hawao ki, ghatao ki, fizao ki, ye kaisi sham hai
gham ke ye saye jo hai chaye aur lehraye
ye unka kya anjam hai
ho kisne dekha hai, kal tu ab sambhal
aur sunle kya kehta ye pal
kehta hai aaj tu kar aarzu, aur khud apni kismat ko badal
takdeer badal
chal chale chal pade, ek nayi kahani hum likhe mil kar
chal chale chal pade, iss raat ki bhi hogi ek seher

ye man me khayal re sawal karta hai
ho jab ye gaanth aur suraj hamare
dil ka jo saaz hai, awaz hai, andaz hai, hum usko jaan le
wo jo sunata hai
dohrata hai aur gata hai hum usko maan le
ho duniya me aaye hai, dil paye hai
apni marzi se kyu na jee le
kese jhuk jaye hum ruk jaye
hum manzil ko tu baki hai mile
baki hai mile 
chal chale chal pade, ek nayi kahani hum likhe mil kar
chal chale chal pade, iss raat ki bhi hogi ek seher

aao naye duniya main, aajao dekho ye kitni haseen
yaha khushiyo ke andaz nirale aangan aangan
yaha hasrat bhi dil khool ke dekho
nachee chan chan chan
ho sath mile tera to chamkegi fir kismat hamari
hath thame tera, to badalegi fir duniya sari
apne hatho se kyu na likhe, kyu na likhe
apne dil ka hum fasana, lakh roke ye zamana
chal chale chal pade, ek nayi kahani hum likhe mil kar
chal chale chal pade, iss raat ki bhi hogi ek seher
chal chale chal pade, ek nayi kahani hum likhe mil kar
har nagar har dagar, har raste ke hum hai humsafar