Ek Diya Aur Toofan Lyrics | Diya Aur Toofan

                        
                        bhramha vishnu hai maheshswara
jag ke kripa nidhan
ek baar phir dekh tu ban kar ke insaan
vish peena aasam hai aansu pee kar dekh
yaar se apne bichhad jaa aur phir jee kar dekh
o duniya ke bhagwan bata
bhagwan mera kyu chhin liya

mere pyar ka dipak bujha diya
kyu jalta hai phir tera deeya
o duniya ke bhagwan bata
bhagwan mera kyu chhin liya
mere pyar ka dipak bujha diya
kyu jalta hai phir tera deeya
kaha chhupa hai tu bhagwan
ek deeya aur toofan
ek deeya aur toofan
mehndi ke badle haatho ko, zakhmo se tune laal kiya
sindur chhin ke khush hai tu, ke tune bada kamal kiya
mehndi ke badle haatho ko, zakhmo se tune laal kiya
sindur chhin ke khush hai tu, ke tune bada kamal kiya
doli to meri saji nahi, sukh ki shehnayi baji nahi
ek tuta darpan bana diya, dulhan ko jogan ban diya
sab jala diye armaan
ek deeya aur toofan
ek deeya aur toofan
o duniya ke bhagwan bata
bhagwan mera kyu chhin liya
mere pyar ka dipak bujha diya
kyu jalta hai phir tera deeya
pehle to khushiya deta hai
phir khushiyo se dar jata hai
patthar tu tera dil patthar
phir kyu ishwar kehlata hai
pehle to khushiya deta hai
phir khushiyo se dar jata hai
patthar tu tera dil patthar
phir kyu ishwar kehlata hai
angaaro pe aaj chalungi main
par tujhse itna kahungi main
teri zidd hai to meri bhi zidd hai
mere amar ko paa ke rahungi main
tu ise chunauti maan
ek deeya aur toofan
ek deeya aur toofan
o duniya ke bhagwan bata
bhagwan mera kyu chhin liya
mere pyar ka dipak bujha diya
kyu jalta hai phir tera deeya
kaha chhupa hai tu bhagwan
ek deeya aur toofan
ek deeya aur toofan

ek deeya aur toofan
ek deeya aur toofan
ek deeya aur toofan
ek deeya aur toofan