Nagri Nagri Dhunda Lyrics | Diya Aur Toofan

                        
                        amar amar amar amar

amar aasha amar aasha

nagari nagari dhundha maine tujhko o sajna
ho janam janam se gori tera dekha hai sapna
nagari nagari dhundha maine tujhko o sajna
janam janam se gori tera dekha hai sapna
tujhe bananewala sundar usse bhi sundar tu
tujhe bananewala sundar usse bhi sundar tu
mujhko sundar bana gaya tere naino ka jadu
amar ki asha ban ke chhao tum mere angana
nagari nagari dhundha maine tujhko o sajna
sapna
phulo se kya kaam basi mujhme teri khushbu
phulo se kya kaam basi mujhme teri khushbu
mithe bol tere aise jaise khanke ghunguru
bahut hua ab aur meri tarif nahi karna
janam janam se gori tera dekha hai sapna sajna
dekh kalam se dil pe apne likh diya tera naam
dekh kalam se dil pe apne likh diya tera naam
tu hai shuruat meri aur tu hai anjam
ye kahkar sab kuch kah dala ab kya hai kehna
nagari nagari dhundha maine tujhko o sajna
janam janam se gori tera dekha hai sapna
sajna sapna