Ye Sone Ki Duniya Lyrics | Do Dost

Lyricist : Bharat Vyas
Music Director : K Anand , S Mohinder
Singer : Hemant Kumar
                        
                        ye sone ki duniya ye chandi ki duniya
yaha aadmi ki bhala baat kya hai
ye daulat ki duniya amiro ki duniya
ye daulat ki duniya amiro ki duniya
yahan par garibo ki aukaat kya hai
ye sone ki duniya

ye tute dilo ke jo tukade pade hain
laga le inhe dil se woh dil kahan hai
ye footpath par so rahe jo musafir
bataye koi inki manjil kahan hai
manjil kahan hai
bina roshni ke hai inke savere
jo din hi andhere toh phir raat kya hai
ye daulat ki duniya amiro ki duniya
yahan par garibo ki aukaat kya hai
ye sone ki duniya

ye bhukhe, ye nange ye bhikhmange bhi to
usi dinbandhu ki santan hain re
ye kyu chhin gaya inke jine kaa adhikar
ye bhi to ham jaise insan hain re
insan hain re
ye aankhe barasti hain baarho mahine
in ashko ke aage ye barsat kya hai
ye daulat ki duniya amiro ki duniya
yahan par garibo ki aukaat kya hai
ye sone ki duniya